VPN kya hai or Ese kaise use kare

VPN kya hai? Eska use kyu or kaise karte hai

Aajkal sabhi log internet ka use karte hai. Internet humari life ka important part ban gya hai lekin internet par sabhi log apni privacy ko importance dete hai unme se bhut se logo ko VPN ke baare me pta hoga or bhut se logo ko nhi lekin aaj mai es post me aapko VPN ki Puri Jaankari provide karunga jis se aapko VPN ke baare sab kuch pta chal jayega.

VPN kya hota hai, VPN ki puri jankari, free VPN kaise use kare, VPN ke fayde or nuksan

VPN (Virtual Private Network)

VPN ka full form virtual private network hota hai ye ek private network hota hai jo user ko duniya me kahi bhi or kabhi bhi es network ko acess karne me help krta hai.
VPN ki taraf se aapko ek IP address milta hai jiski help se aap duniya me kahi se bhi es network ko access kar sakte hai.

VPN ka jada use bdi bdi companies, institutions, or government websites karti hai jiski help se wo apni privacy ko secure rakh sake or koi bhi sensitive data ko VPN ka use karke he send kare jis se wo kisi ke paas na pauch sake.

VPN ka use kaise karte hai?

VPN ki help se hum kisi bhi blocked website ko bhut he easily surf kar sakte hai.
Jaise bhut si websites kuch countries me block hoti hai toh aap VPN ka use karke apne ip address ko change karke us website ko browse kar sakte hai.

Dosto aap VPN ko apne phone me bhut easily use kar sakte hai wo bhi bina apne phone ko root kare Apne android phone me VPN ko use karne ke liye steps ko follow kare

Step 1. Sabse pahle aap es link se click karke es app ko download kar le.

                               Download

Step 2. Es app ko download karne ke baad aap ese install karle.

VPN kya hota hai, VPN ki puri jankari, free VPN kaise use kare, VPN ke fayde or nuksan

Step 3. App ko open karne ke baad aap jaha ki bhi VPN (proxy) ko use karna chahate hai waha se connect karle.

VPN kya hota hai, VPN ki puri jankari, free VPN kaise use kare, VPN ke fayde or nuksan

Es VPN me aapko 1 month me 500MB free milegi jise aap use kar skate hai or agar aap chahae to eska paid version bhi download kar sakte hai.

Free VPN ke fayde or nuksan

1. Free VPN ka sabse bada fayda ye hai ki aapko eske liye koi bhi paisa pay nhi karna padta hai.

2. Aap koi bhi blocked website ko free me acess kar sakte hai.

3. Free VPN me aapko ads show honge jis se aapko problem ho sakti hai.

4. Bhut si free VPN sites aesi hoti hai jo aapke data ko leak bhi kar sakte hai.

Final Words
I hope aapko humari post achi lgi hogi agar aapko kuch problem hai ya kuch puchna hai toh aap humse comment karke puch sakte hai.
Thanks!🙂






Post a Comment

2Comments